Iqbal Haider

jo tere dard hain wahi sab mere dard hain

Iqbal Haider

jo tere dard haiñ vahī sab mere dard haiñ
kahne ko apnī apnī jagah fard fard haiñ
dhundlā ga.e haiñ aks nazar hai bhañvar bhañvar
ḳhvāboñ meñ bhī ḳhayāl ke ā.īñe gard haiñ
peshāniyoñ pe vaqt shikan-dar-shikan nahīñ
chehra-ba-chehra likhe hue dil ke dard haiñ
ik dūsre ko jaan ke pahchānte nahīñ
ham log saare ek qabīle ke fard haiñ
bhīgī hatheliyoñ se na paḌh kal kī zindagī
gahrī har ik lakīr sahī haath sard haiñ
ye ḳhushk lab ye paañv ke chhāle ye sar kī dhuul
ham shahar kī fazā meñ bhī sahrā-navard haiñ
'iqbāl' jab se phuul haiñ gul-dān ke asiir
ḳhushbū uḌī uḌī sī hai aur rañg zard haiñ
Top Urdushayar.com