rusvā-e-ishq meñ tirā shaidā kaheñ jise
ushshāq meñ misāl hai rusvā kaheñ jise
siina chaman hai ġhuncha-e-dil hai shagufta-dil
terī nigāh hai chaman-ārā kaheñ jise
ġham parvarīda hai dil-e-shorīdgān-e-ishq
furqat kī ek raat hai duniyā kaheñ jise
mansūb kufr dair se īmāñ haram se hai
ik rah gayā huuñ maiñ ki tumhārā kaheñ jise
ham ġhair-mo'tabar sahī aur ġhair mo'atabar
kahnā bajā hai aap kā jaisā kaheñ jise
'sāhir' nafas vo daam hai jis meñ ki hai asiir
mauj-e-dam-e-ḳhayāl ki anqā kaheñ jise