haiñ saat zamīñ ke tabaq aur saat haiñ aflāk
is raaz ke mahram haiñ magar sāhib-e-idrāk
bū zauq basar lams sam.a ḳhāsa-e-unsur
unsur ḳhalī baad ātish-o-āb-o-kurra-e-ḳhāk
īzād hue chaar tabaq tab hue chaudah
sūrat-garī-o-hāfiza-o-dānish-o-idrāk
kahte haiñ jise arsh vo hai jalva-e-pindār
gardish meñ haiñ jis se tabqāt-e-hama-aflāk
hai pās-e-adab māne-e-'sāhir' pai-e-iz.hār
hai matl.a-e-ḳhurshīd vagarna sar-e-laulāk