sar-e-arsh-e-barīñ hai zer-e-pā-e-pīr-e-mai-ḳhāna
kamāl-e-auj par hai husn-e-ālamgīr-e-mai-ḳhāna
faroġh-e-bāda se raushan huī taqdīr-e-mai-ḳhāna
ki hai har bāda-kash raushan charāġh-e-pīr-e-mai-ḳhāna
maiñ dīvāna huuñ aur dair-o-haram se mujh ko vahshat hai
paḌī rahne do mere paañv meñ zanjīr-e-mai-ḳhāna
tasavvur dil meñ rahtā hai kisī kī chashm-e-mai-gūñ kā
khīñchī rahtī hai āñkhoñ meñ mire tasvīr-e-mai-ḳhāna
ziyārat ko chale haiñ shaiḳh-o-zāhid fī-amānillāh
ḳhudā kī shaan hai kuchh phir ga.ī taqdīr-e-mai-ḳhāna
parī shīshe meñ aur sāġhar meñ hai ḳhurshīd-e-nūrñgīñ
vo hai tasḳhīr-e-mai-ḳhāna ye hai tanvīr-e-mai-ḳhāna
jo pahuñchā mai-kade meñ chhoḌ kar dair-o-haram 'sāhir'
jhukā sar zauq-e-mastī meñ zahe tāsīr-e-mai-ḳhāna