nūr-e-īmāñ surma-e-chashm-e-dil-o-jāñ kījiye
parda-dār-e-husn-e-yaktā chashm-e-hairāñ kījiye
mushkilāt-e-rāh ko himmat se āsāñ kījiye
tai fanā kī manzileñ uftān-o-ḳhīzāñ kījiye
be-hijābāna ḳhud-ārā.ī ke sāmāñ kījiye
maz.har-e-shān-e-tajallī bazm-e-imkāñ kījiye
haiñ man-o-tū jalva-e-hā-e-husn-e-vahdat kā hijāb
sham-e-bazm-e-ḳhud-shanāsī nūr-e-irfāñ kījiye
jalva-hā-e-tūr kī takrār yā tajdīd ho
lan-tarānī se masāvī kufr-o-īmāñ kījiye
shirk gar manzūr hai aur hai anal-haq nā-qubūl
daar par mansūr ko khichvā.iye haañ kījiye
ḳhud-numā.ī naaz hai andāz ḳhud-ārā.iyāñ
jalva-e-jāñ se munavvar qalb-e-insāñ kījiye
kaif-e-mastī meñ ki irfān-e-junūñ meñ al-ġharaz
vā har ik band-e-naqāb-e-rū-e-jānāñ kījiye
kar diyā rahmat ne nūrānī mirā zulmat-kada
nosh-e-jāñ jām-e-safā se āb-e-haivāñ kījiye
rahravān-e-jāda-e-ishq-o-fanā mansūr haiñ
ārzū-hā-e-do-ālam un pe qurbāñ kījiye
ham haiñ hindī aur hamārā mulk hai hindostāñ
hind meñ paidā tasavvuf ke zabāñ-dāñ kījiye
mastiyāñ 'sāhir' kī haiñ jām-e-mai-e-tauhīd se
ho sake to aise kāfir ko musalmāñ kījiye