ayaañ ho rañg meñ aur misl-e-bū gul meñ nihāñ bhī ho
jahān-e-jāñ hue gul-pairahan jān-e-jahāñ bhī ho
makīñ kaunain meñ ho fil-haqīqat lā-makāñ bhī ho
azal se tā-abad qaa.em ayaañ bhī ho nihāñ bhī ho
par-e-parvāz-e-anqā lā.eñge gar lā-makāñ bhī ho
tumheñ ham DhūñDh lā.eñge kahīñ bhī ho jahāñ bhī ho
kahāñ haiñ hazrat-e-īsā kahāñ haiñ hazrat-e-mūsā
ayaañ e.ajāz meñ ho aur tajallī meñ nihāñ bhī ho
ġhashī ho aur ġhashī meñ hosh bhī kuchh kuchh rahe baaqī
vo husn-e-lā-yazālī kuchh ayaañ bhī kuchh nihāñ bhī ho
jalānā mārnā e.ajāz hai us chashm-e-pur-fan kā
hayāt-e-jāvidāñ ho aur marg-e-nā-gahāñ bhī ho
jo āñkheñ hoñ to husn-o-ishq kī sūrat nazar aa.e
ayaañ ho rañg-e-gul meñ saut-e-bulbul meñ nihāñ bhī ho
yahāñ dair-o-haram meñ ho vahāñ mai-ḳhāne meñ 'sāhir'
barahman ho janāb-e-shaiḳh ho pīr-e-muġhāñ bhī ho