Sahir Dehlavi

but-parasti ke sanam-KHane ka aasar na toD

Sahir Dehlavi

Delhi, India

1863-1962
but-parastī ke sanam-ḳhāne kā āsār na toḌ
ka.aba-e-dil mirā mast-e-mai-e-pindār na toḌ
ahd-e-mīsāq kā lāzim hai adab ai vaa.iz
hai ye paimān-e-vafā rishta-e-zunnār na toḌ
mohtasib sañg pe tū shīsha-e-mai ko na paTak
dil-e-rindān-e-mai-āshām ko zinhār na toḌ
rahm kar rahm ki ye chashm-e-chaman kā hai charāġh
jalva-e-gul se hai zīnat use ai yaar na toḌ
tauba karnī tujhe vājib hī na thī ai 'sāhir'
vo jo honā thā huā ab use bekār na toḌ
Top Urdushayar.com