kaam is duniyā meñ aa kar ham ne kyā achchhā kiyā
husn ko be-parda nām-e-ishq ko rusvā kiyā
husn ne aur ishq ne hañgāma ik barpā kiyā
sham.a ko raushan kiyā parvāne ko shaidā kiyā
be-tamannā.ī meñ āsūda thā yārab kyā kiyā
kis liye mere dil-e-dīvāna ko daanā kiyā
ek jazba thā azal se gosha-e-dil meñ nihāñ
ishq ko is husn ke bāzār ne rusvā kiyā
terī qismat kā navishta thā kisī kā kyā qusūr
tere aage aa gayā a dil jo thā terā kiyā
naar ne kī sar-kashī roz-e-azal jab iḳhtiyār
ḳhaak ko baḳhshā sharaf ya.anī bashar paidā kiyā
dil ko parvāna banāyā kar diyā jaañ ko nisār
sham.a-rū ke ishq meñ ham kyā kaheñ kyā kyā kiyā
jo kiyā hukm-e-qazā se ham ne 'sāhir' thā bajā
ham ne apnī raa.e se jo kuchh kiyā be-jā kiyā