Sahir Dehlavi

tere siwa meri hasti koi jahan mein nahin

Sahir Dehlavi

Delhi, India

1863-1962
tire sivā mirī hastī koī jahāñ meñ nahīñ
ye raaz faash hai haañ se nahīñ maiñ haañ meñ nahīñ
jo lā-makāñ hai muqayyad kisī makāñ meñ nahīñ
ta.ayyunāt nishāñ meñ haiñ be nishāñ meñ nahīñ
sifāt jalva-gah-e-zāt hai tajallī-e-husn
ye jism jalva-gah-e-jāñ hai nūr-e-jāñ meñ nahīñ
zabān-e-hāl se hai kaif-e-be-ḳhudī goyā
ye vo zamīñ hai ki jis kā nishāñ zamāñ meñ nahīñ
faroġh-e-hastī-e-mutlaq hai jalva-e-pindār
hijāb-e-hastī-e-mauhūm darmiyāñ meñ nahīñ
nishāñ yaqīñ kā do-ālam meñ qalb-e-sākin hai
qarār vahm meñ āsūdgī gumāñ meñ nahīñ
mirī fasurda-dilī ne na.e khilā.e haiñ gul
nahīñ ki mausam-e-gul mausam-e-ḳhizāñ meñ nahīñ
maiñ nañg-e-dehlī huuñ nañg-e-suḳhan-varāñ 'sāhir'
asātiza kī zabāñ kyā karūñ dahāñ meñ nahīñ
Top Urdushayar.com