chaar unsur se banā hai jism-e-pāk
haiñ ye chāroñ bād-o-ātish āb-o-ḳhāk
az pai-takmīl-e-tahqīqāt-e-ilm
ho gayā lāzim ḳhalī kā ishtirāk
aql-o-dil īzād ho kar ho ga.e
shash-jihāt-o-haft-manzil tābnāk
jab irādat se huā us kā zuhūr
aa gayā pindār kā gardish meñ chaak
rūh-e-āzam se huvaidā ho ga.ī
vo irādat jis ne dam kī rūh-e-pāk
rūh-e-āzam kyā hai vo zāt-e-qadīm
hai zabān-e-ilm meñ jo jān-e-pāk
vahdat-o-kasrat meñ 'sāhir' hai ayaañ
jaan yā nūr-e-qadam yā zāt-e-pāk