Iqbal Haider

khoe gae to aaine ko moatabar kiya

Iqbal Haider

kho.e ga.e to aa.ine ko mo'atabar kiyā
ham ne tirī talāsh meñ apnā safar kiyā
be-ghar musāfiroñ ke muqaddar meñ ḳhaak hai
so ham ne gard-e-rāh ko dīvār-o-dar kiyā
us markaz-e-jamāl ke ham bhī asiir haiñ
jis markaz-e-jamāl ne har dil meñ ghar kiyā
shahr-e-vafā ḳhamosh hai patthar bane baġhair
kaisā fareb-e-koh-e-nidā ne asar kiyā
baazū sameTte haiñ daraḳhtoñ pe kuchh tuyūr
shāyad kisī ne tazkira-e-bāl-o-par kiyā
yādoñ kī bhiiḌ meñ bhī hai tanhā.ī ham-safar
us kī ho ḳhair jis ne hameñ dar-ba-dar kiyā
Top Urdushayar.com