Sahir Dehlavi

dil hai bahr-e-be-karan dil ki umang

Sahir Dehlavi

Delhi, India

1863-1962
dil hai bahr-e-be-karāñ dil kī umañg
chaar mauj chaar sū hai chaar rañg
mauj-e-avval hai juz-o-kul meñ muhīt
sar-ba-sar kibr-o-minā kā rañg-Dhañg
hai tasavvur doyamī mauj-e-ḳhayāl
farsh se tā-arsh jis kī hai tarañg
soyamī hai aql mahdūd-o-salīm
mānte haiñ jis kā lohā sab dabañg
dil kī hai mauj-e-chahārum vāhima
dam-ba-dam jis kī anokhī hai umañg
chaar dāñg-e-ālam-e-ījād meñ
chaar maujeñ haiñ baham aur ḳhāna-jañg
jaan kī tahrīk se hai sab numūd
ḳhvāh dil hai ḳhvāh hai dil kī umañg
haiñ isī tahrīk meñ āḳhir fanā
sham.a kī lau meñ fanā jaise patañg
aql kī saiqal se ho jaatā hai paak
dil ke ā.īne ko jab lagtā hai zañg
Top Urdushayar.com