dil ko yaksūī ne dī tark-e-ta.alluq kī salāh
ai umīd-e-vasl-e-jānāñ kyā hai ab terī salāh
jab jafā-jū ne taġhāful se bhī kī qat-e-nazar
ho razā-e-yār par shākir ye hai dil kī salāh
hosh meñ jalva dikhāne se agar hai us ko aar
hai vidā-e-hosh kī har haal meñ apnī salāh
naqd-e-jāñ dildār kartā hai talab maiñ kyā karūñ
bandagī bechārgī par ab to hai merī salāh
manzil-e-ishq-o-fanā karnī hai tai sar-tā-ba-sar
sham.a ke mānind jal bujhne kī hai merī salāh
saaf kahtā hai ki tū nekī kar aur dariyā meñ Daal
dil mirā detā hai mujh ko aaj nekī kī salāh
be tamannā.ī meñ 'sāhir' maiñ huuñ har-dam mere saath
duur kar dil se tamannā hai ye jānāñ kī salāh