Sahir Dehlavi

chashm-e-mast-e-saqi se dil hua KHarab-abaad

Sahir Dehlavi

Delhi, India

1863-1962
chashm-e-mast-e-sāqī se dil huā ḳharāb-ābād
mai-kada hai aur mastī ab to harche bādā-bād
mil-milā ke donoñ ne dil ko kar diyā barbād
husn ne kiyā be-ḳhud ishq ne kiyā āzād
merā TūTā-phūTā dil ban gayā vatan us kā
be-vatan thā āvāra ishq-e-ḳhānumā-barbād
mastī-e-anā lailā kār-e-ishq-e-majnūñ hai
kaif-e-vasl-e-shīrīñ hai naqsh-e-tesha-e-farhād
jism-o-jān kā ilhāq vaj.h-e-ranj-o-rāhat hai
band-e-shādī-o-ġham se jān-e-pāk hai āzād
shauq aur tanaffur meñ raaz us kā pinhāñ hai
hai koī agar dil-gīr hai agar koī dil-shād
ġhaflat aur nādānī vaj.h-e-shauq-o-nafrat hai
hai jo ain-e-irfāñ meñ be-sabāt-o-be-buniyād
band-e-ranj-o-rāhat se fikr-e-shauq-o-nafrat se
qaid-e-jehl-o-ġhaflat se ḳhud-shanās hai āzād
jalva us kā ai 'sāhir' chashm-e-pāk-bīñ se dekh
husn-e-lā-yāzlī se shash-jahāt haiñ ābād
Top Urdushayar.com