Iqbal Haider

samundar ke kinare ek samundar aadamiyon ka

Iqbal Haider

samundar ke kināre ik samundar ādamiyoñ kā
hamāre shahr meñ rahtā hai lashkar ādamiyoñ kā
vahī sīna-figārī hai vahī be-e'tibārī hai
badaltā hī nahīñ hai yaañ muqaddar ādamiyoñ kā
zamīñ se āsmāñ tak chhā rahī hai ḳhuun kī surḳhī
chhupā hai ḳhair ke parde meñ bhī shar ādamiyoñ kā
qayāmat se bahut pahle qayāmat kyuuñ na ho barpā
jhukā hai aadmī ke sāmne sar ādamiyoñ kā
faqat chehre hī ab gard-e-kudūrat se nahīñ dhuñdle
diloñ kā aa.ina bhī hai mukaddar ādamiyoñ kā
zamīñ yūñhī rahī gar be-gunāhoñ ke lahū se tar
havā ho jā.egā ik din samundar ādamiyoñ kā
Top Urdushayar.com