Noor N Sahir

aap uske hain yahi usko bata kar dekhiye

Noor N Sahir

Ganjdundwara, Uttar pradesh, India

1997
aap us ke haiñ yahī us ko batā kar dekhiye
vo yaqīnan maan jā.egī manā kar dekhiye
aap kyā jāneñ sharāboñ kā nasha kyā hotā hai
ek din merī tarah se Dagmagā kar dekhiye
merī ye vīrān āñkheñ kah rahī haiñ dosto
saare sapne TūTte haiñ aazmā kar dekhiye
mere ghar meñ aap kī bas aap kī tasvīreñ haiñ
aap ko jab vaqt ho to ghar meñ aa kar dekhiye
sirf itnī der kī hai zindagī ai dosto
sirf itnī der ko chuTkī bajā kar dekhiye
jaane kitne be-qusūroñ ko sazā.eñ mil rahīñ
jhuuT lagtā hai tumheñ to jail jā kar dekhiye
Top Urdushayar.com