mar-miTe jab se ham us dushman-e-dīñ par sāhab
paañv Tikte hī nahīñ apne zamīñ par sāhab
ḳhush-gumānī kā ye aalam hai ki har baat ke biich
haañ kā dhoka ho hameñ us kī nahīñ par sāhab
taḳht yāroñ ko hai ġham shaah kī māzūlī kā
aur fidā bhī haiñ na.e taḳht-nashīñ par sāhab
ham to ik sāñvlī sūrat hai jise chāhte haiñ
aap mar jaa.eñ kisī māh-jabīñ par sāhab
husn rañgoñ ke tasādum se jilā paatā hai
jaise ik ḳhaal kisī rū-e-hasīñ par sāhab
ham vo majrūh-e-ziyārat ki sar-e-mahfil bhī
aañkh rakhte haiñ usī parda-nashīñ par sāhab