be-yaqīnī ke Dar se TuuT ga.e
ham jo dast-e-hunar se TuuT ga.e
tum nahīñ jānte ki kitne dil
hādse ke asar se TuuT ga.e
hausle dhuup ne kiye paspā
jism lambe safar se TuuT ga.e
phir hameñ kirchiyāñ dikhāne lagā
ḳhvāb jab ḳhvāb-gar se TuuT ga.e
ek taa.ir kī vāpsī na huī
sabz mausam shajar se TuuT ga.e
kabhī ham chaak tak nahīñ pahuñche
aur kabhī kūza-gar se TuuT ga.e
kyā tilismī nigāh thī kisī kī
log pahlī nazar se TuuT ga.e
silsile sachchī chāhatoñ ke 'safīr'
ek jhūTī ḳhabar se TuuT ga.e