chhoḌo ye bāt-chīt bhī kis kā hai kyā huā
achchhā huā hai yaar jo achchhā burā huā
dhīre se chalnā chāhiye thā bhāgne lage
ham ne ḳharāb kar liyā rasta banā huā
āñkhoñ kā lams jism ke hāthoñ meñ sauñp kar
us ne charāġh gul kiyā aadhā jalā huā
aadhā adhūrā hijr javānī chabā gayā
aadhe adhūre ishq meñ bachpan havā huā
dil kā mo.āmla bhī hai kuchh is tarah kā dost
taaza sā ek zaḳhm ho jaise dukhā huā
chakrā rahe haiñ vāqa.ī ham yā mire 'safīr'
pañkhā sā ghūmtā hai falak se lagā huā