Azbar Safeer

log aae hi nahin mujhko mayassar aise

Azbar Safeer

1995
log aa.e hī nahīñ mujh ko mayassar aise
jo mujhe kahte ki aise nahīñ 'azbar' aise
jaisā maiñ huuñ mire chehre kī hañsī jaisī hai
ġhaur se dekh ki hote nahīñ joker aise
tez dauḌā ke achānak mirī rassī khīñchī
us ne samjhāyā mujhe lagtī hai Thokar aise
aañkh khulne pe jo uThtā huuñ to chakrātā huuñ
kaun detā hai mujhe ḳhvāb meñ chakkar aise
zulf aisī ke siyāh reshmī jañgal koī
nain us shaḳhs ke haiñ surma.ī marmar aise
koī to hotā jo siine se lagā kar kahtā
baat thī baat ko lete nahīñ dil par aise
kis ne sochā thā ki kamroñ meñ faqat chup hogī
kis ne sochā thā ki guzregā september aise
haa.e āḳhir meñ vahī hādisa pesh aayā 'safīr'
hameñ kahnā paḌā likkhe the muqaddar aise
Top Urdushayar.com