Azbar Safeer

jaane kaisa sog manaya jata hai

Azbar Safeer

1995
jaane kaisā sog manāyā jaatā hai
kuchh qabroñ par diyā jalāyā jaatā hai
kuchh jismoñ kī lazzat puurī karne ko
kuchh jismoñ ko khīñch ke laayā jaatā hai
vo āñkheñ pinjre meñ hotī haiñ jin ko
āzādī kā ḳhvāb dikhāyā jaatā hai
vasl to pahlā raag hai sab gā lete haiñ
hijr kahāñ har ek se gaayā jaatā hai
kuchh nuqte alfāz kī zīnat hote haiñ
kuchh nuqtoñ se kaam chalāyā jaatā hai
mumkin hai ki rone kā kuchh vaqt mile
bārish kā imkān batāyā jaatā hai
Top Urdushayar.com