ham zamāne se faqat husn-e-gumāñ rakhte haiñ
ham zamāne se tavaqqo hī kahāñ rakhte haiñ
ek lamha bhī masarrat kā bahut hotā hai
log jiine kā salīqa hī kahāñ rakhte haiñ
kuchh hamāre bhī sitāre tire dāman pe raheñ
ham bhī kuchh ḳhvāb jahān-e-guzrāñ rakhte haiñ
chand aañsū haiñ ki hastī kī chamak hai jin se
kuchh havādis haiñ ki duniyā ko javāñ rakhte haiñ
jān-o-dil nazr haiñ lekin nigāh-e-lutf kī nazr
muft bikte haiñ qayāmat bhī girāñ rakhte haiñ
apne hisse kī masarrat bhī aziyyat hai 'zamīr'
har nafas pās-e-ġham-e-ham-nafasāñ rakhte haiñ