apnī ḳhabar nahīñ hai ba-juz is qadar mujhe
ik shaḳhs thā ki mil na sakā umr-bhar mujhe
sho.aloñ kī guftugū meñ sabā ke ḳhirām meñ
āvāz de rahā hai koī ham-safar mujhe
shāyad unhīñ kā ijz mire kaam aa gayā
jin dostoñ ne chhoḌ diyā vaqt par mujhe
shab ko to ek qāfila-e-gul thā saath saath
yārab ye kis maqām pe aa.ī sahar mujhe
hañste rahe falak pe sitāre zamīñ pe phuul
achchhā huā ki umr milī muḳhtasar mujhe
muddat ke ba.ad us ne sar-e-anjuman 'zamīr'
dekhā nigāh-e-ām se aur ḳhaas kar mujhe