baḌī hairat se arbāb-e-vafā ko dekhtā huuñ maiñ
ḳhatā ko dekhtā huuñ aur sazā ko dekhtā huuñ maiñ
abhī kuchh der hai shāyad mire māyūs hone meñ
abhī kuchh din fareb-e-rahnumā ko dekhtā huuñ maiñ
ḳhudā mālūm dil ko justujū hai kin jazīroñ kī
na jaane kin sitāroñ kī ziyā ko dekhtā huuñ maiñ
ye kyā ġham hai mire ash.ār ko nam kar diyā kis ne
ye dil meñ kis samundar kī ghaTā ko dekhtā huuñ maiñ
'zamīr' ik qaid-e-nā-mahsūs ko mahsūs kartā huuñ
kisī nādānī-e-zanjīr-e-pā ko dekhtā huuñ maiñ