Hameed Jalandhari

aa ke wo mujh KHasta-jaan par yun karam farma gaya

Hameed Jalandhari

aa ke vo mujh ḳhasta-jāñ par yuuñ karam farmā gayā

koī dam baiThā dil-e-nāshād ko bahlā gayā

kaun saktā hai taab us ke ruḳh-e-pur-nūr

jis taraf se ho ke guzrā barq lahrā gayā

aañkh bhar kar dekh lenā kuchh ḳhatā aisī na thī

kyā ḳhabar kyuuñ un ko mujh par itnā ġhussa aa gayā

phir ga.ī ik aur duniyā nazar ke sāmne

baiThe baiThe kyā batā.ūñ kyā mujhe yaad aa gayā

yak-ba-yak maġhmūm ke chehre pe raunaq aa ga.ī

kaun jaane āñkhoñ āñkhoñ meñ vo kyā samjhā gayā

yuuñ to ham ne bhī use dekhā hai lekin ai 'hamīd'

jaane tujh ko kaun andāz us bhā gayā

Top Urdushayar.com