Syed Zameer Jafri

hum agar dasht-e-junun mein na ghazal-KHwan hote

Syed Zameer Jafri

Jhelum, Punjab, Pakistan

1916-1999
ham agar dasht-e-junūñ meñ na ġhazal-ḳhvāñ hote
shahr hote bhī to āvāz ke zindāñ hote
zindagī tere taqāze agar āsāñ hote
kitne ābād jazīre haiñ ki vīrāñ hote
tū ne dekhā hī nahīñ pyaar se zarroñ kī taraf
aañkh hotī to sitāre bhī numāyāñ hote
ārzūoñ se jo paimān-e-vafā ham rakhte
sānehe zaḳhm bhī hote to gulistāñ hote
ishq hī sho.ala-e-imkān-e-sahar hai varna
ḳhvāb ta.abīr se pahle hī pareshāñ hote
māzī-o-dosh kā har daaġh hai fardā kā charāġh
kaash ye shām-o-sahar sirf dil-o-jāñ hote
zabt-e-tūfāñ kī tabī.at hī kā ik ruḳh hai 'zamīr'
mauj āvāz badal letī hai tūfāñ hote
Top Urdushayar.com