yaqīñ ke bhī kyā kyā hijābāt haiñ
haqīqat kī zid e.atiqādāt haiñ
taraqqī ke raste na khulte magar
ye sab dostoñ kī ināyāt haiñ
ye zanjīr bhī itnī mohkam nahīñ
haqā.eq bhī zaatī ḳhayālāt haiñ
koī shaḳhs ḳhūbī se ḳhālī nahīñ
har ik shaḳhs ke apne hālāt haiñ
falak ko bhī dekheñge lekin abhī
zamīñ par bhī kitne maqāmāt haiñ
adā kuchh kiyā nasl-e-fardā kā qarz
ki ham ai zamāne tire saath haiñ