apne zarf apnī talab apnī nazar kī baat hai
raat hai lekin mire lab par sahar kī baat hai
āshiyāñ ke saath puurī zindagī badlī ga.ī
kam-nazar samjhe ki musht-e-bāl-o-par kī baat hai
tā-abad kitne añdhere the ki raushan ho ga.e
sham.a kā jalnā ba-zāhir raat bhar kī baat hai
zindagī sadiyoñ kā hāsil zindagī sadiyoñ kā ruup
zindagī jo chashmak-e-barq-o-sharar kī baat hai
manzil ik rah-rav kā thak jaanā hai varna zindagī
ik musalsal rahguzar paiham safar kī baat hai