Syed Zameer Jafri

junun pe jabr-e-KHirad jab bhi hoshyar hua

Syed Zameer Jafri

Jhelum, Punjab, Pakistan

1916-1999
junūñ pe jabr-e-ḳhirad jab bhī hoshyār huā
nazar ke saath nazāra bhī sharm-sār huā
ġham-e-jahāñ! bahut achchhā unheñ bhalā deñge
zah-e-nasīb agar dil pe iḳhtiyār huā
ye daur daur-e-pur-āshob hī sahī lekin
zamāna pahle bhī kab kis ko sāz-gār huā
milī haiñ nau-e-bashar se mujhe vo īzā.eñ
ki jab bhī ġhaur kyā ḳhud bhī sharmsār huā
kisī se talḳhi-e-hālāt kā gila hī nahīñ
ki jo huā vo ba-īmā-e-chashm-e-yār huā
ye zindagī kā ufuq bhī ajab ufuq hai 'zamīr'
ki har ḳhayāl sitāra banā ġhubār huā
Top Urdushayar.com