Syed Zameer Jafri

ga raha hun KHamushi mein dard ke naghmat main

Syed Zameer Jafri

Jhelum, Punjab, Pakistan

1916-1999
gā rahā huuñ ḳhāmushī meñ dard ke naġhmāt maiñ
ban gayā ik sāhil-e-vīrāñ kī tanhā raat maiñ
ek do sajde zarā shahr-e-nigārāñ kī taraf
ai ġham-e-hastī Thahar chaltā huuñ tere saath maiñ
zindagī merī tamannāoñ mire ḳhvāboñ kā ruup
phuul maiñ huuñ rañg maiñ huuñ abr maiñ barsāt maiñ
ik shagufta dard ik sho.aloñ meñ bujhtī chāñdnī
ajnabī shahroñ se laayā huuñ yahī sauġhāt maiñ
bārhā is sādgī par ḳhud hañsī aa.ī mujhe
kar rahā huuñ kis zamāne meñ vafā kī baat maiñ
har ubhartī lau se raushan ho gayā merā 'zamīr'
bik gayā har muskurātī raushnī ke haath maiñ
Top Urdushayar.com