ai dost dard-e-dil kā mudāvā kiyā na jaa.e
va.ada agar kiyā hai to iifā kiyā na jaa.e
aane lage haiñ vo bhī ayādat ke vāste
ai chārāgar marīz ko achchhā kiyā na jaa.e
majbūriyoñ ke raaz na khul jaa.eñ ba.ad-e-marg
qātil hamāre qatl kā charchā kiyā na jaa.e
aa.egī apne lab pe to hogī parā.ī baat
lāzim hai rāz-e-dil kabhī ifshā kiyā na jaa.e
vo ḳhud hī jaan leñge mire dil kā mudda.ā
behtar yahī hai arz-e-tamannā kiyā na jaa.e