Anwar Saharanpuri

jalwe dikhae yar ne apni harim-e-naz mein

Anwar Saharanpuri

jalve dikhā.e yaar ne apnī harīm-e-nāz meñ
sajde chamak chamak uThe mere sar-e-niyāz meñ
jalva-e-dīd meñ tirī shola-e-tūr thā nihāñ
aag sī aur lag ga.ī mere dil-e-gudāz meñ
shauq ne khīch lī mire yaar kī jab naqāb-e-ruḳh
husn kī raushnī huī jalva-gah-e-majāz meñ
ishq kī be-hijābiyāñ husn kī parda-dāriyāñ
hone lagī talāshiyāñ naaz meñ aur niyāz meñ
dil meñ liyā adāoñ ne sabr-o-qarār bhī liyā
luT gayā ghar bharā huā jumbish-e-chashm-e-nāz meñ
merī nazar ke milte hī un kī nigāh jhuk ga.ī
dil ko javāb mil gayā chashm-e-fusūñ-tarāz meñ
sehr vo hī kashish vo hī mastī-o-be-ḳhudī vo hī
terī nazar samā ga.ī nargis-e-nīm-bāz meñ
paañv figār meñ to hoñ dil to nahīñ figār-e-ġham
koī sanam nahīñ na ho dasht-e-junūñ-navāz meñ
jalva-e-yār dekh kar tuur pe ġhash hue kalīm
aql-o-ḳhirad kā kaam kyā mahfil-e-husn-o-nāz meñ
kar le ḳhudā kī bandagī 'anvar'-e-ḳhasta-dil zarā
bhuul na apne rab ko tū nafs kī hirs-o-āz meñ
Top Urdushayar.com