Anwar Saharanpuri

jab fasl-e-bahaaran aati hai shadab gulistan hote hain

Anwar Saharanpuri

jab fasl-e-bahārāñ aatī hai shādāb gulistāñ hote haiñ
takmīl-e-junūñ bhī hotī hai aur chaak garebāñ hote haiñ
pur-kaif fazā.eñ chaltī haiñ maḳhmūr ghaTā.eñ chhātī haiñ
jab sehn-e-chaman meñ jalva-numā vo jān-e-bahārāñ hote haiñ
hotā hai sukūn-e-qalb-o-jigar har zaḳhm meñ lazzat aatī hai
o nāvak-afgan tiir tire taskīn-e-rag-e-jāñ hote haiñ
kyuuñ minnat-e-chāra-gar kiije kyuuñ fikr-e-davā-e-dil kiije
bīmār-e-mohabbat ke naale ḳhud dard kā darmāñ hote haiñ
ye ahd-e-javānī shoḳhī-e-gul do din kī bahāreñ hotī haiñ
dekheñ to kabhī vo rañg-e-ḳhizāñ jo husn pe nāzāñ hote haiñ
jab bād-e-bahārī aatī hai har gul pe javānī chhātī hai
khil jaate haiñ mire zaḳhm-e-jigar aur daaġh daraḳhshāñ hote haiñ
girdāb muhāfiz hotā hai ai bahr-e-havādis bekas kā
khiñch aatā hai sāhil maujoñ meñ jab josh pe tūfāñ hote haiñ
kyā mujh ko zarūrat ai 'anvar' kyuuñ un ke sitam kā shākī huuñ
jab yaad jafā.eñ aatī haiñ vo ḳhud hī pashemāñ hote haiñ
Top Urdushayar.com