Anwar Saharanpuri

wo parde se nikal kar samne jab be-hijab aaya

Anwar Saharanpuri

vo parde se nikal kar sāmne jab be-hijāb aayā
jahān-e-ishq meñ yak-bārgī ik inqalāb aayā
zamīñ ke zarre zarre se numāyāñ ho ga.e jalve
sar-e-gulzār vo rashk-e-qamar jab be-hijāb aayā
mukarrar zindagānī kā mazā ho jā.egā hāsil
dam-e-āḳhir bhī qāsid le ke gur ḳhat kā javāb aayā
muqaddar se mire donoñ ke donoñ bevafā nikle
na umr-e-bevafā palTī na phir jā kar shabāb aayā
vafūr-e-sharm se us āftāb-e-husn ke aage
jahāñ kā har hasīñ Daale hue muñh par naqāb aayā
dil-e-betāb-o-tāqat ko tasallī kuchh huī hāsil
payām us but ke aane kā jo vaqt-e-iztirāb aayā
ajab pur-kaif aalam hai zamāna mast hai 'anvar'
ki un ke chaudhvīñ man meñ nazar rañg-e-sharāb aayā
Top Urdushayar.com