Anwar Saharanpuri

kyun KHafa humse ho KHata kya hai

Anwar Saharanpuri

kyuuñ ḳhafā ham se ho ḳhatā kyā hai
ye to farmā.iye huā kyā hai
husn kyā husn kī adā kyā hai
us ke jalvoñ kā dekhnā kyā hai
ek aalam hai sirf mai-noshī
nigah-e-mast mājrā kyā hai
nīchī nazroñ se kar diyā ghāyal
ab ye samjhe ki ye hayā kyā hai
jaan denā hai ain maqsad-e-ishq
un ko andāza-e-vafā kyā hai
ham se barham raqīb se shādāñ
kahiye kahiye ye mājrā kyā hai
jin kī hastī hai ik sharar kī misāl
aise tāroñ kā Dūbnā kyā hai
āriz-e-yār ke muqābil ho
mahr-e-tābāñ kā hauslā kyā hai
ḳhuun āshiq hai yā hinā kā rañg
mere qātil ye zer-e-pā kyā hai
ḳhud hī gum ho ke rah ga.e 'anvar'
hāsil-e-justujū huā kyā hai
Top Urdushayar.com