Anwar Saharanpuri

rangin bana ke daman-e-zaKHm-e-jigar ko main

Anwar Saharanpuri

rañgīñ banā ke dāman-e-zaḳhm-e-jigar ko maiñ
gulzār kar rahā huuñ fazā-e-nazar ko maiñ
gaatā huuñ sāz-e-dil pe tarāne sahar ko maiñ
bedār kar rahā huuñ kisī fitna-gar ko maiñ
mulzim nazar hai yā sar-e-shorīda kā qusūr
ka.aba samajh rahā huuñ tire sañg-e-dar ko maiñ
chun kar gul-e-niyāz qarīb-e-bisāt-e-dil
bāġh-e-iram banātā huuñ dāġh-e-jigar ko maiñ
vahshī banā huā hai mirī māntā nahīñ
allāh kyā karūñ dil-e-shorīda-sar ko maiñ
ai husn-e-dil-navāz mirī himmateñ to dekh
dil de ke muul letā huuñ dard-e-jigar ko maiñ
sañg-e-dar-e-habīb ko ka.aba banā na luuñ
jalva samajh ke husn-e-fareb-e-nazar ko maiñ
zāhid namāz-e-ishq kī tajdīd ke liye
phir us ke naqsh-e-pā pe jhukātā huuñ sar ko maiñ
merī tarah mujhe vo nazar aa.eñ be-qarār
kartā huuñ apnī aah meñ paidā asar ko maiñ
shāyad niyāz-mand ko hāsil niyāz ho
hasrat se tak rahā huuñ tirī rahguzar ko maiñ
kartā huuñ zabt-e-ġham ki na khul jaa.e rāz-e-ishq
dil meñ chhupā ke rakhtā huuñ tīr-e-nazar ko maiñ
'anvar' ga.iiñ na dil kī mire bad-gumāniyāñ
rahzan samajh rahā huuñ har ik rāhbar ko maiñ
Top Urdushayar.com