Manzoor Arif

gham-e-dauran bhi nahin hai gham-e-jaanan bhi nahin

Manzoor Arif

Attock, Punjab, Pakistan

1924-1980
ġham-e-daurāñ bhī nahīñ hai ġham-e-jānāñ bhī nahīñ
saḳht mushkil meñ hai ab dil ki ġham-e-jāñ bhī nahīñ
mujh se nārāz haiñ sab jān-o-jahān-o-jānāñ
maiñ ki dil se bhī judā shai huuñ pareshāñ bhī nahīñ
dil ne kuchh aur kahāñ aql ne kuchh aur kahī
sun ke donoñ kī na maanī ki maiñ nādāñ bhī nahīñ
had-e-imkān-e-tasavvur meñ sahī merā surāġh
lekin ai dil mujhe ab DhūñDhnā āsāñ bhī nahīñ
ek vo din ki tirī diid pe qurbāñ thī nigāh
ek ye din ki tire vasl kā armāñ bhī nahīñ
jaane kis ḳhitta-e-aflāk se utrā 'ārif'
jo ik insān kī sūrat bhī hai insāñ bhī nahīñ
Top Urdushayar.com