Manzoor Arif

main jin bulandiyon pe tha jin se gira bhi tha

Manzoor Arif

Attock, Punjab, Pakistan

1924-1980
maiñ jin bulandiyoñ pe thā jin se girā bhī thā
merā ḳhayāl hai ki vahāñ par ḳhudā bhī thā
utrā zamīn par to nigāheñ chamak uThīñ
ye husn garche ḳhuld se kam thā judā bhī thā
us ne zamīn par bhī na jiine diyā mujhe
ye sheva-e-sazā ki ḳhudā ko ravā bhī thā
pesh-e-nazar thā hazrat-e-ādam ke jo shajar
thī lazzat-e-samar to ḳhayāl-e-baqā bhī thā
shāyad ki sochtā bhī ho mere liye vo husn
mujh ko nikāl kar jo mujhe dekhtā bhī thā
kyuuñ us ne arsh-o-farsh pe apnā liyā mujhe
kyā tujh sā do-jahāñ meñ koī dūsrā bhī thā
'ārif' vo kar rahā thā tabassum bhī zer-e-lab
jab ālam-e-itāb meñ mujh se ḳhafā bhī thā
Top Urdushayar.com