Hameed Jalandhari

kabhi apnon ki yurish thi kabhi ghairon ka rela tha

Hameed Jalandhari

kabhī apnoñ kī yūrish thī kabhī ġhairoñ kā relā thā
tire milne kī ḳhātir ham ne kyā kyā dukh na jhelā thā
mire ahbāb kyā be-vaqt mere paas aa baiThe
ghaTā ghanghor thī vo apne kamre meñ akelā thā
hamārā shām-e-tanhā.ī meñ pursāñ hī na thā koī
vo jis mahfil meñ jaate the vahīñ yāroñ kā melā thā
mohabbat kī junūñ-añgeziyoñ se ham bhī vāqif haiñ
javānī meñ javāno ham ne bhī ye khel khelā thā
udhar vo the ki thī ik daulat-e-bedār paas un ke
idhar ham the ki apnī jeb meñ paisa na Dhelā thā
huī muddat ki un ko ḳhvāb meñ bhī ab nahīñ dekhā
maiñ jin galiyoñ meñ apne dostoñ ke saath khelā thā
javānī meñ hamārī tund-ḳhūī ek aafat thī
hamāre dam se har mahfil meñ jhagḌā thā jhamelā thā
'hamīd' us chāh-e-ġham se aaj tak bāhar nahīñ aayā
azīzoñ ne use muddat huī jis meñ Dhakelā thā
Top Urdushayar.com