Manzoor Arif

shor itna hai ki tanhai ho mahfil jaise

Manzoor Arif

Attock, Punjab, Pakistan

1924-1980
shor itnā hai ki tanhā.ī ho mahfil jaise
kisī tūfān kī zad meñ koī sāhil jaise
use dekhā to ḳhayāloñ meñ jo manzil thī ga.ī
vo hī thā merī tamannāoñ kā hāsil jaise
maiñ to samjhā thā ki ham donoñ kā jazbāt hai naam
aaj lagte ho magar tum kisī aaqil jaise
hama-tan gosh huuñ āvāz pe us kī aise
mere siine meñ dhaḌaktā ho tirā dil jaise
pahlī manzil pe hī qurbān huā yuuñ 'ārif'
tai hue manzil irfāñ ke marāhil jaise
Top Urdushayar.com