mirī ġhazal meñ thiiñ us kī nazākateñ saarī
usī ke rū-e-hasīñ kī sabāhateñ saarī
vo boltā thā to har ik thā gosh-bar-āvāz
vo chup huā to haiñ bahrī samā.ateñ saarī
vo kyā gayā ki har ik shaḳhs rah gayā tanhā
usī ke dam se thiiñ bāham rifāqateñ saarī
Dubo gayā vo mirā lafz lafz dariyā meñ
vo ġharq kar gayā merī alāmateñ saarī
vo ek lamha sar-e-dār jo chamak uTThā
us ek lamhe pe qurbān sā.ateñ saarī
jahāñ pe dafn hai us ke badan kā tāj-mahal
udhar darīche rakheñgī imārateñ saarī