thī kabhī ab magar vo chaah nahīñ
un se pahlī sī rasm-o-rāh nahīñ
apnī fariyād bhī hai jurm kī baat
un kī bedād bhī gunāh nahīñ
kuchh na kuchh husn bhī to hai mujrim
sab kā sab aañkh kā gunāh nahīñ
jaane kis maslahat ke pesh-e-nazar
zulm ab un ke be-panāh nahīñ
dekh 'ārif' ye auj-e-ishq bhī dekh
ik tarāna hai lab pe aah nahīñ