sar pe sūraj hai kahīñ sāya-e-dīvār nahīñ
ek phailā huā sahrā hai koī yaar nahīñ
jab se dekhī hai tirī sūrat-e-zebā ham ne
dīd-e-gul ke bhī zamāne meñ gunahgār nahīñ
jab na bikte the to har shaḳhs ḳharīdār milā
ab jo bāzār meñ aa.e to ḳharīdār nahīñ
shab kī tārīkī meñ chup-chāp mujhe qatl karo
dosto sar mirā shāyān-e-sar-e-dār nahīñ
kyuuñ na tāroñ kī ziyā hī meñ ho āġhāz-e-safar
sub.h hone ke to 'ārif' koī āsār nahīñ