kuchh raaz haiñ aise jo ḳhabar tak nahīñ pahuñche
aise bhī haiñ jalve jo nazar tak nahīñ pahuñche
ik lamhe ko aayā thā sar-e-bazm vo ḳhush-rū
jo ghar se ga.e dekhne ghar tak nahīñ pahuñche
chhoTe the jo qāmat meñ jinheñ jhuk ke milā thā
un hāthoñ ke patthar mire sar tak nahīñ pahuñche
us gard se niklo ki safar kā kareñ āġhāz
yaaro tum abhī rāhguzar tak nahīñ pahuñche
har chand ki dar chhoḌ ke terā hue rusvā
lekin kabhī ham ġhair ke dar tak nahīñ pahuñche
kyā jāniye kin logoñ kī qismat meñ huuñ 'ārif'
vo phal jo abhī shāḳh-e-shajar tak nahīñ pahuñche