Manzoor Arif

manzar jhalakte chand ka kitna hasin tha

Manzoor Arif

Attock, Punjab, Pakistan

1924-1980
manzar jhalakte chāñd kā kitnā hasīn thā
us kī qabā kī tarah vo bādal mahīn thā
hairāñ hai mujh ko dekh ke kyuuñ TūTtā daraḳht
maiñ ug rahā huuñ ab ki maiñ zer-e-zamīn thā
ab khul gayā hai mujh se to had se guzar gayā
varna vo dekhne meñ to behad matīn thā
maiñ hosh-mand rah ke bhī nādān hī rahā
jazbāt meñ vo bah ke bhī kitnā zahīn thā
tujh ko rahā na apne zar-e-ġham kā e'timād
varna ye dil to dard-e-jahāñ kā amiin thā
'ārif' zabān us kī na detī thī dil kā saath
inkār kar ke aa.egā mujh ko yaqīn thā
Top Urdushayar.com