Manzoor Arif

be-niyaz-e-sukun-e-manzil hai

Manzoor Arif

Attock, Punjab, Pakistan

1924-1980
be-niyāz-e-sukūn-e-manzil hai
zindagī irtiqā pe maa.il hai
gum hai yuuñ fikr-e-kā.enāt meñ dil
yād-e-mahbūb se bhī ġhāfil hai
fan faqat husn ko nahīñ kahte
is meñ ḳhūn-e-jigar bhī shāmil hai
tujh pe qurbān ai ġham-e-daurāñ
tū mirī zindagī kā hāsil hai
aap kyā jāneñ shorish-e-tūfāñ
aap kā dil rahīn-e-sāhil hai
aao kirnoñ ke khoj meñ nikleñ
tīrgī se nibāh mushkil hai
aap apne zamīr se sharmā.eñ
aa.ina aap ke muqābil hai
Top Urdushayar.com