Manzoor Arif

baam par aao kabhi mah-e-daraKHshan ki tarah

Manzoor Arif

Attock, Punjab, Pakistan

1924-1980
baam par aao kabhī māh-e-daraḳhshāñ kī tarah
chhup ke kyā jalnā charāġh-e-tah-e-dāmāñ kī tarah
umr bhar vo dar-o-dīvār ke pāband rahe
ghar se nikle hī nahīñ haiñ mire armāñ kī tarah
ab use dekhūñ to pahchān bhī shāyad na sakūñ
dil mirā TuuT gayā yaar ke paimāñ kī tarah
dasht kī raah to lī ālam-e-vahshat meñ magar
dasht bhī niklā mire ḳhāna-e-vīrāñ kī tarah
qais ko dekhā thā maiñ ne sar-e-sahrā ik din
sar se pā tak thā faqat dīda-e-hairāñ kī tarah
nasha-e-mai ho ki husn-e-ruḳh-e-jānāñ 'ārif'
sar chaḌhānā na kisī ko kabhī ehsāñ kī tarah
Top Urdushayar.com