kis vahm meñ asiir tire mubtalā hue
kab ahl-e-shauq dām-e-vafā se rihā hue
āzād ho ke aur bhī be-dast-o-pā hue
kis dard-e-lā-ilāj meñ ham mubtalā hue
mañDlā rahe the jin ke saroñ par kulāġh o buum
vo faizyāb-e-sāya-e-bāl-e-humā hue
dil-dādgān-e-bādiya-e-sarsar-o-sumūm
shahzādgān-e-mulk-e-nasīm-o-sabā hue
karte na the jo sāhil o dariyā meñ imtiyāz
kashtī bhañvar meñ aa.ī to vo nāḳhudā hue
rasta dikhā sakā na jinheñ nūr-e-āftāb
jalne lage charāg to vo rahnumā hue
pā-mardi-e-yaqīñ se jo mahrūm haiñ vo log
apne rafīq-e-rāh hue bhī to kyā hue
kis shaan se ga.e haiñ shahīdān-e-kū-e-yār
qātil bhī haath uThā ke sharīk-e-duā hue
yaksāni-e-hayāt se ghabrā gayā hai dil
muddat guzar ga.ī koī tūfāñ bapā hue
koshish thī farz ham ne bhī kī lekin is ke ba.ad
apne tamām kaam supurd-e-ḳhudā hue