Manzoor Arif

hai aarzu ki aur to kya KHud KHuda na ho

Manzoor Arif

Attock, Punjab, Pakistan

1924-1980
hai aarzū ki aur to kyā ḳhud ḳhudā na ho
jab vo ho mere paas koī dūsrā na ho
dīvār se kahī thī jo us tak pahuñch ga.ī
is baat par hī mujh se kahīñ vo ḳhafā na ho
aahaT bhī koī pā na sake ghar se yuuñ nikal
har samt dekh-bhāl koī dekhtā na ho
saaya bhī saath le ke na jā kū-e-yār meñ
ham-zād bhī safar meñ kahīñ rūnumā na ho
vo raah kar talāsh ki jo sañglāḳh ho
DhūñDe koī to terā kahīñ naqsh-e-pā na ho
mumkin kahāñ ki āḳhir-e-shab dar pe ho koī
dastak sī ho rahī hai jo bāhar havā na ho
Top Urdushayar.com