har shai lamhe kī mehmāñ hai kyā gul kyā ḳhushbū
kyā mai kyā nasha-e-ā.īna kyā ā.īna-rū
mornī kī ye ḳhvāhish vajd meñ aa kar nāche mor
pyaas bujhāne ko de de bas do qatre aañsū
kyā thā vo lamhoñ kī rifāqat ho ga.ī ḳhvāb-o-ḳhayāl
tujh bin saarī umr rahā ḳhālī merā pahlū
zehnī rishte qalbī naate sab aġhrāz-pasand
sab lamhoñ ke jādūgar haiñ kyā maiñ aur kyā tū
'ārif' kyā tadbīr ho us ko kaise raam karūñ
maiñ ik ḳhālī haath shikārī vo ik tez aahū